Jab bhee aankhon men ashq bhar aaye

जब भी आँखों में अश्क़ भर आये
Year
Language

जब भी आँखों में अश्क़ भर आये
लोग कुछ डूबते नज़र आये

मुद्दतें हो गईं सहर देखे
कोई आहट कोई ख़बर आये

चाँद जितने भी गुम हुए शब के
सबके इल्ज़ाम मेरे सर आये

मुझको अपना पता ठिकाना मिले
वो भी इक बार मेरे घर आये

jab bhī āṇkhoṅ meṅ aśhq bhar āye
log kuchh ḍūbte nazar āye

muddteṅ ho gaīṅ sahar dekhe
koī āhaṭ koī khabar āye

chāṇd jitne bhī gum hue śhab ke
sabke ilzām mere sar āye

mujhko apnā patā ṭhikānā mile
vo bhī ik bār mere ghar āye