जान-ए-दिल जान-ए-तमन्ना कौन है
जान-ए-दिल जान-ए-तमन्ना कौन है
तुमसे अच्छा तुमसे प्यारा कौन है
हम तुम्हारे तुम किसी के हो गये
हम नहीं समझे हमारा कौन है
बंदा-परवर आप ही फ़रमाइये
हम बुरे ठहरे तो अच्छा कौन है
इस तमाशा-गाह-ए-आलम में 'जमाल्'
फ़ैसला कीजे तमाशा कौन है
देखना दिल की सदाएं तो नहीं
इस ख़मोशी में ये गोया कौन है
jān-e-dil jān-e-tamannā kaun hai
tumse achchhā tumse pyārā kaun hai
ham tumhāre tum kisī ke ho gaye
ham nahīṅ samjhe hamārā kaun hai
baṅdā-paravar āp hī farmāiye
ham bure ṭhahre to achchhā kaun hai
is tamāśhā-gāh-e-ālam meṅ 'jamāl'
faislā kīje tamāśhā kaun hai
dekhnā dil kī sadāeṅ to nahīṅ
is khamośhī meṅ ye goyā kaun hai