जाग और देख ज़रा आलम-ए-वीराँ मेरा
जाग और देख ज़रा आलम-ए-वीराँ मेरा
सुबह के भेस में निकला है गरीबाँ मेरा
बन्द आँखें किये यूँ जाग रहा हूँ शब-ए-ग़म
कि उन्हें आये नज़र ख़्वब-ए-परेशाँ मेरा
मुद्दतों कू-ए-वफ़ा आये कि बुतखानों से
ऊद बन बन के जला है दिल-ए-सोज़ाँ मेरा
तुम्हें क्यों मद्द-ए-नज़र अब है ख़राबी इस की
तुम तो कहते थे कि घर है दिल-ए-इंसाँ मेरा
पड़ गई किस की निगाह-ए-मुतबस्सम 'सीमाब्'
हो गया हर्फ़-ए-ग़लत दफ़्तर-ए-इसयाँ मेरा
jāg aur dekh zarā ālam-e-vīrāṇ merā
subah ke bhes meṅ niklā hai garībāṇ merā
band āṇkheṅ kiye yūṇ jāg rahā hūṇ śhab-e-ġham
ki unheṅ āye nazar khvab-e-pareśhāṇ merā
muddtoṅ kū-e-vafā āye ki butkhānoṅ se
ūd ban ban ke jalā hai dil-e-sozāṇ merā
tumheṅ kyoṅ madd-e-nazar ab hai kharābī is kī
tum to kahte the ki ghar hai dil-e-iṅsāṇ merā
paṛ gaī kis kī nigāh-e-mutabassam 'sīmāb'
ho gayā harf-e-ġhalat daftar-e-isyāṇ merā