āye haiṅ duāeṅ dene, āpkī balāyeṅ lene
ziṅdgī hamārī lelo, aiśh karo khāo khelo
jiyo jī, jiyo jī, jiyo jī, jiyo jī
jab talak jī chāhe, jiyo, jiyo jī
patā ab chalā, hai kyoṅ ho gayā
zamānā dīvānā tumhārā
banā de kabhī, miṭā de kabhī
tumhārā zarā sā iśhārā
chale hukūmat yahāṅ tumhārī
fidā hai tumpe duniyā sārī
kyā kahne, kyā kahne āpke to
kisī ko banā ke jiyo, kisī ko miṭā ke jiyo
zindgī hamārī lelo …
jo pahle kabhī, kisī ne nā dī
vo sauġhāt ham āj deṅge
tumheṅ umr bhar, dubārā kabhī
pujārī nā aise mileṅge
saikaṛoṅ bechāre āye, zindgī ke māre āye
kyā kahne, kyā kahne āpke to
log āte jāte raheṅ, āp muskurāte raheṅ
zindgī hamārī lelo …