जा कहियो उनसे नसीम-ए-सहर मेरा चैन गया मेरी नींद गैइ
जा कहियो उनसे नसीम-ए-सहर मेरा चैन गया मेरी नींद गैइ
तुम्हें मेरी न मुझको तुम्हारी ख़बर मेरा चैन गया मेरी नींद
गैइ
ऐ बादशाह-ए-ख़ुबान-ए-जहाँ तेरी मोहनी सूरत पे क़ुर्बाँ
की मैं ने जो तेरी जबीं पे नज़र मेरा चैन गया मेरी नींद गैइ
हुई बाद-ए-बहारी चमन में अयाँ गुल-बूटे में बाक़ी रही न
फ़िज़ा मेरी शाख़-ए-उम्मीद न आई सँवर मेरा चैन गया मेरी
नींद गैइ
ऐ बर्क़-ए-तजल्लि बहर-ए-ख़ुदा न जला मुझे इश्क़ में शम्मा सा
मेरी ज़ीस्त मिस्ले-चिराग़-ए-सहर मेरा चैन गया मेरी नींद गैइ
कहता यही रो रो के "Zअफ़र्" मेरी आह-ए-रसा का हुआ न असर
तेरी हिज्र में मौत न आई अभी मेरा चैन गया मेरी नींद गैइ
jā kahiyo unse nasīm-e-sahar merā chain gayā merī nīṅd gaii
tumheṅ merī na mujhko tumhārī khabar merā chain gayā merī nīṅd
gaii
ai bādśhāh-e-khubān-e-jahāṇ terī mohnī sūrat pe qurbāṇ
kī maiṅ ne jo terī jabīṅ pe nazar merā chain gayā merī nīṅd gaii
huī bād-e-bahārī chaman meṅ ayāṇ gul-būṭe meṅ bāqī rahī na
fizā merī śhākh-e-ummīd na āī sṇvar merā chain gayā merī
nīṅd gaii
ai barq-e-tajalli bahar-e-khudā na jalā mujhe iśhq meṅ śhammā sā
merī zīst misle-chirāġh-e-sahar merā chain gayā merī nīṅd gaii
kahtā yahī ro ro ke "Zafar" merī āh-e-rasā kā huā na asar
terī hijr meṅ maut na āī abhī merā chain gayā merī nīṅd gaii