इससे पहले के बात टल जाये
आओ एक दौर और चल जाये
आँसुओं से भरी हुई आँखें
रोशनी जिस तरह पिघल जाये
दिल वो नादान शोख़ बच्चा है
आग छूने पे जो मचल जाये
तुझको पाने की आस के फल से
ज़िंदगी की रिदा न ढल जाये
बख़्त मौसम हवा का रुख़ जाना
कौन जाने के कब बदल जाये
isse pahle ke bāt ṭal jāye
āo ek daur aur chal jāye
āṇsuoṅ se bharī huī āṇkheṅ
rośhnī jis tarah pighal jāye
dil vo nādān śhokh bachchā hai
āg chhūne pe jo machal jāye
tujhko pāne kī ās ke phal se
ziṅdgī kī ridā na ḍhal jāye
bakht mausam havā kā rukh jānā
kaun jāne ke kab badal jāye