Ishq men khoye jaaoge to baat kee tah ko paaoge

इश्क़ में खोये जाओगे तो बात की तह को पाओगे
Year
Language

प्रेलुदे
न उढ़ा यूँ ठोकरों से मेरी ख़ाकए-क़ब्र ज़ालिम
यही एक रह गयी है मेरे प्यार की निशानी

इश्क़ में खोये जाओगे तो बात की तह को पाओगे
कद्र हमारी कुछ जानोगे दिल को कहीं जो लगाओगे

सब्र कहाँ बेताबी-ए-दिल से चैन कहाँ बे-ख़्वाबी है
सौ सौ बार गली में भटके घर से बाहर जाओगे

अश्क़ तो पानी के हैं लेकिन जलते जलते आवेंगे
दिल की लगी हैरान है साहब किस ढब मिल के बुझाओगे

चाहत 'मीर्' सभी करते हैं रंज-ओ-तलब में रहते हैं
तुम जो अभी ताब हो जैसे जी से हाथ उठाओगे

prelude
na uṛhā yūṇ ṭhokroṅ se merī khākae-qabr zālim
yahī ek rah gayī hai mere pyār kī niśhānī

iśhq meṅ khoye jāoge to bāt kī tah ko pāoge
kadr hamārī kuchh jānoge dil ko kahīṅ jo lagāoge

sabr kahāṇ betābī-e-dil se chain kahāṇ be-khvābī hai
sau sau bār galī meṅ bhaṭke ghar se bāhar jāoge

aśhq to pānī ke haiṅ lekin jalte jalte āveṅge
dil kī lagī hairān hai sāhab kis ḍhab mil ke bujhāoge

chāhat 'mīr' sabhī karte haiṅ raṅj-o-talab meṅ rahte haiṅ
tum jo abhī tāb ho jaise jī se hāth uṭhāoge