इंशाजी उठो अब कूच करो,
इस शहर में जी का लगाना क्या
वहशी को सुकूँ से क्या मतलब,
जोगी का नगर में ठिकाना क्या …
इस दिल के दरीदा दामन में
देखो तो सही, सोचो तो सही
जिस झोली में सौ चेद हुए
उस झोली को फैलाना क्या …
शब बीती चाँद भी डूब चला
ज़ंजीर पड़ी दरवाज़े पे
क्यों देर गये घर आये हो
सजनी से करोगे बहाना क्या …
जब शहर के लोग न रस्ता दे
क्यों बन में न जा बिसराम करे
दीवानों की सी न बात करे
तो और करे दीवाना क्या …
iṅśhājī uṭho ab kūch karo,
is śhahar meṅ jī kā lagānā kyā
vahśhī ko sukūṇ se kyā matalab,
jogī kā nagar meṅ ṭhikānā kyā …
is dil ke darīdā dāman meṅ
dekho to sahī, socho to sahī
jis jholī meṅ sau ched hue
us jholī ko phailānā kyā …
śhab bītī chāṇd bhī ḍūb chalā
zaṅjīr paṛī darvāze pe
kyoṅ der gaye ghar āye ho
sajnī se karoge bahānā kyā …
jab śhahar ke log na rastā de
kyoṅ ban meṅ na jā bisrām kare
dīvānoṅ kī sī na bāt kare
to aur kare dīvānā kyā …