Huee hai shaam to aankhon men bas gayaa phir too

हुई है शाम तो आँखों में बस गया फिर तू
Year
Language

हुई है शाम तो आँखों में बस गया फिर तू
कहाँ गया है मेरे शहर के मुसाफ़िर तू

मैं जानता हूँ के दुनिया तुझे बदल देगी
मैं मानता हूँ के ऐसा नहीं ब-ज़ाहिर तू

हँसी ख़ुशी से बिछड़ जा अगर बिछड़ना है
ये हर मक़ाम पे क्‌या सोचता है आख़िर तू

'फ़राज़्' तूने उसे मुश्क़िलों में डाल दिया
ज़माना साहिब-ए-ज़र और सिर्फ़ शाइर तू

huī hai śhām to āṇkhoṅ meṅ bas gayā phir tū
kahāṇ gayā hai mere śhahar ke musāfir tū

maiṅ jāntā hūṇ ke duniyā tujhe badal degī
maiṅ māntā hūṇ ke aisā nahīṅ ba-zāhir tū

hṇsī khuśhī se bichhaṛ jā agar bichhaṛnā hai
ye har maqām pe k‌yā sochtā hai ākhir tū

'farāz' tūne use muśhqiloṅ meṅ ḍāl diyā
zamānā sāhib-e-zar aur sirf śhāir tū