Hazaaron khvaahishen aisee ke har khvaahish pe dam nikle

हज़ारों ख़्वाहिशें ऐसी के हर ख़्वाहिश पे दम निकले
Year
Language

हज़ारों ख़्वाहिशें ऐसी के हर ख़्वाहिश पे दम निकले
बहुत निकले मेरे अरमाँ लेकिन फिर भी कम निकले

निकलना खुल्द से आदम का सुनते आये हैं लेकिन
बहुत बे-आबरू होकर तेरे कूचे से हम निकले

मुहब्बत में नहीं है फ़र्क़ जीने और मरने का
उसी को देख कर जीते हैं जिस काफ़िर पे दम निकले

कहाँ मयखाने का दरवाज़ा 'ग़ालिब्' और कहाँ वाइज़
पर इतना जानते हैं कल वो जाता था के हम निकले

hazāroṅ khvāhiśheṅ aisī ke har khvāhiśh pe dam nikle
bahut nikle mere armāṇ lekin phir bhī kam nikle

nikalnā khuld se ādam kā sunte āye haiṅ lekin
bahut be-ābrū hokar tere kūche se ham nikle

muhabbat meṅ nahīṅ hai farq jīne aur marne kā
usī ko dekh kar jīte haiṅ jis kāfir pe dam nikle

kahāṇ maykhāne kā darvāzā 'ġhālib' aur kahāṇ vāiz
par itnā jānte haiṅ kal vo jātā thā ke ham nikle