bekhudī meṅ sanam, uṭh gaye jo kadam
ā gaye, ā gaye, ā gaye pās ham
āg ye kaisī man meṅ lagī hai, man se baṛhī to tan meṅ lagī hai
āg nahīṅ ye dil kī lagī hai, jitnī bujhāī, utnī jalī hai
dil kī lagī nā ho to kyā jiṅdgī hai
sāth ham jo chale, miṭ gaye fāsle
khoī nazar thī, soye nazāre, dekhā tumhe to jāge ye sāre
dil ne kiye jo dil ko iśhāre, milke chale ham sāth tumhāre
āj khuśhī se merā dil ye pukāre
terā dāman milā, pyār merā khilā
dil kī kahānī pahuṇchī zubāṅ tak, kisko khabar ab pahuṇche kahāṇ tak
pyār ke rāhī āye yahāṇ tak, jāyeṅge dil kī had hai jahāṇ tak
tum sāth do to chale ham āsmāṅ tak
dil meṅ armāṅ liye, lākh tūphāṅ liye