ham jiyeṅ yā mareṅ hāy
hāy ham kyā kareṅ
ham jiyeṅ yā mareṅ hāy ham kyā kareṅ -2
kyā kareṅ -3
hāy ham kyā kareṅ -4
khil rahī chāṇdnī
mast hai kāminī
rūp hai raṅg hai
aṅg meṅ aṅg hai
rūp hai raṅg hai
aṅg meṅ aṅg hai
mat lagā tū agan
jal rahā hai badan
kab talak yūṇhī āheṅ bhareṅ
ham jiyeṅ yā mareṅ hāy ham kyā kareṅ -2
phuljhaṛī hai umar
jal rahe haiṅ nagar
har nazar tez hai
hṇs rahī sej hai
har nazar tez hai
hṇs rahī sej hai
tūne ghāyal kiyā
dekh lūṇgī piyā
ham gunāhoṅ se kāhe ḍareṅ
ham jiyeṅ yā mareṅ hāy ham kyā kareṅ -2
hā
ā
( ziṅdgī dharm hai
puṇy hī karm hai ) -2
are chal
( ziṅdgī prem hai
prem hī marm hai ) -2
pyār tan se nahīṅ pyār man se karo
iskā matalab hai kyā ziṅdgī bhar maro
vāsnā ke pare āṇkh kholo zarā -2
tum bhī ho tum sahī
hṇs ke bolo zarā
tum bhī ho tum sahī
hṇs ke bolo zarā
do dinoṅ ke liye rūp hai gaṅdh hai -2
is liye bhog lo vo hī ānand hai -2
tum samajhte ho kyā ziṅdgī aiśh hai
aiśh ho yā na ho kyā vo updeśh hai
saty hai ziṅdgī jhūṭh hai vāsnā -2
vāsnā ke binā jhūṭh hai sādhnā -2
bhog meṅ tyāg hai tyāg ānand hai
dūr dekhegā kyā jo nazarband hai
rūp hai do ghaṛī pyār hai sarvdā
ek hai jhīl to ek hai narmdā
rośhnī ke liye dīp bankar jalo
megh bankar chalo mom bankar galo
ziṅdgī tyāg hai yā ki vyāpār hai
jo ki khudgarz hai uskā dhikkār hai
uskā dhikkār hai -2
chalte duniyā kā dukh ham hareṅ
ham jiyeṅ yā mareṅ hāy ham kyā kareṅ -3