Harchand sahaaraa hai tere payaar kaa dil ko

हर्चन्द सहारा है तेरे पयार का दिल को
Year
Language

हर्चन्द सहारा है तेरे पयार का दिल को
रहता है मगर एक अजब ख़ौफ़ सा दिल को

वो ख़्वाब कि देखा न कभी ले उड़ा नींदें
वो दर्द कि उट्ठा न कभी खा गया दिल को

या साँस का लेना भी गुज़र जाना है जी से
या मारका-ए-इश्क़ भी इक खेल था दिल को

वो आएं तो हैरां वो जाएं तो प्रेशां
या रब कोई समझाए ये कया हो गया दिल को

harchand sahārā hai tere payār kā dil ko
rahtā hai magar ek ajab khauf sā dil ko

vo khvāb ki dekhā na kabhī le uṛā nīṅdeṅ
vo dard ki uṭṭhā na kabhī khā gayā dil ko

yā sāṇs kā lenā bhī guzar jānā hai jī se
yā mārkā-e-iśhq bhī ik khel thā dil ko

vo āeṅ to hairāṅ vo jāeṅ to preśhāṅ
yā rab koī samjhāe ye kayā ho gayā dil ko