Har taraf patthron kaa saayaa hai

हर तरफ़ पत्थरों का साया है
Year
Language

हर तरफ़ पत्थरों का साया है
मैंने शीशे का घर बनाया है

खो गये रेज़ा रेज़ा ख़ाब मेरे
तू भी मुझपे रो ऐ शबाब मेरे
तुझको मैंने ये दिन दिखाया है

दिल मेरा काँच का खिलौना था
एक दिन चकनाचूर होना था
दिल जो टूटा तो याद आया है

किसका शिकवा करूँ ख़ुदा मेरे
कोई मुजरिम नहीं सिवा मेरे
अपना धोखा तो मैंने खाया है

har taraf patthroṅ kā sāyā hai
maiṅne śhīśhe kā ghar banāyā hai

kho gaye rezā rezā khāb mere
tū bhī mujhpe ro ai śhabāb mere
tujhko maiṅne ye din dikhāyā hai

dil merā kāṇch kā khilaunā thā
ek din chaknāchūr honā thā
dil jo ṭūṭā to yād āyā hai

kiskā śhikvā karūṇ khudā mere
koī mujrim nahīṅ sivā mere
apnā dhokhā to maiṅne khāyā hai