Har ek jalvaa-e-rangeen meree nigaah men hai

हर एक जलवा-ए-रंगीं मेरी निगाह में है
Year
Language

हर एक जलवा-ए-रंगीं मेरी निगाह में है
ग़म-ए-फ़िराक़ की दुनिया दिल-ए-तबाह में है

किसी की याद-ए-करम उफ़ अरे माजरा
तबाह हो के भी ज़ालिम दिल-ए-तबाह में है

हज़ार पर्दों में ओ छुपने वाले ये सुनने ले
तेरा जमाल मेरे दामन-ए-निगाह में है

जहाँ में मुझसे भी नाकाम-ए-आरज़ू कम हैं
न रंग आह में है और न सोज़ आह में है

har ek jalvā-e-raṅgīṅ merī nigāh meṅ hai
ġham-e-firāq kī duniyā dil-e-tabāh meṅ hai

kisī kī yād-e-karam uf are mājrā
tabāh ho ke bhī zālim dil-e-tabāh meṅ hai

hazār pardoṅ meṅ o chhupne vāle ye sunne le
terā jamāl mere dāman-e-nigāh meṅ hai

jahāṇ meṅ mujhse bhī nākām-e-ārazū kam haiṅ
na raṅg āh meṅ hai aur na soz āh meṅ hai