हक़-ए-वफ़ा जो हम जताने लगे
हक़-ए-वफ़ा जो हम जताने लगे
आप कुछ कह के मुस्कुराने लगे
हमको जीना पड़ेगा फ़ुर्क़त में
वो अगर हिम्मत आज़माने लगे
डर है मेरी ज़ुबाँ न खुल जाये
अब वो बातें बहुत बताने लगे
जान बचती नज़र नहीं आती
ग़ैर उल्फ़त बहुत जताने लगे
तुमको करना पड़ेगा उज्र वफ़ा
हम अगर दर्द-ए-दिल सुनाने लगे
बहुत मुश्किल है शेवा-ए-तस्लीम
हम भी आख़िर को जी चुराने लगे
वक़्त-ए-रुख़्सत था सख़्त 'हाली' पर
हम भी बैठे थे जब वो जाने लगे
haq-e-vafā jo ham jatāne lage
āp kuchh kah ke muskurāne lage
hamko jīnā paṛegā furqat meṅ
vo agar himmat āzmāne lage
ḍar hai merī zubāṇ na khul jāye
ab vo bāteṅ bahut batāne lage
jān bachtī nazar nahīṅ ātī
ġhair ulfat bahut jatāne lage
tumko karnā paṛegā ujr vafā
ham agar dard-e-dil sunāne lage
bahut muśhkil hai śhevā-e-taslīm
ham bhī ākhir ko jī churāne lage
vaqt-e-rukhsat thā sakht 'hālī' par
ham bhī baiṭhe the jab vo jāne lage