Hamko kiske gham ne maaraa ye kahaanee phir sahee

हमको किसके ग़म ने मारा ये कहानी फिर सही
Year
Language

नोत पर्त ओफ़ थिस घज़ल
दिल की चोटों ने कभी चैन से रहने न दिया
जब चली सर्द हवा मैंने तुझे याद किया
इसका रोना नहीं क्‌यूँ तुमने किया दिल बरबाद
इसका ग़म है के बहुत देर में बरबाद किया

हमको किसके ग़म ने मारा ये कहानी फिर सही
किसने तोड़ा दिल हमारा ये कहानी फिर सही

दिल के लुटने का सबब पूछो न सबके सामने
नाम आयेगा तुम्हारा ये कहानी फिर सही

नफ़रतों के तीर खा कर दोस्तों के शहर में
हमने किस किस को पुकारा ये कहानी फिर सही

क्‌या बताएं प्यार की बाज़ी वफ़ा की राह में
कौन जीता कौन हारा ये कहानी फिर सही

not part of this ghazal
dil kī choṭoṅ ne kabhī chain se rahne na diyā
jab chalī sard havā maiṅne tujhe yād kiyā
iskā ronā nahīṅ k‌yūṇ tumne kiyā dil barbād
iskā ġham hai ke bahut der meṅ barbād kiyā

hamko kiske ġham ne mārā ye kahānī phir sahī
kisne toṛā dil hamārā ye kahānī phir sahī

dil ke luṭne kā sabab pūchho na sabke sāmne
nām āyegā tumhārā ye kahānī phir sahī

nafartoṅ ke tīr khā kar dostoṅ ke śhahar meṅ
hamne kis kis ko pukārā ye kahānī phir sahī

k‌yā batāeṅ pyār kī bāzī vafā kī rāh meṅ
kaun jītā kaun hārā ye kahānī phir sahī