Ham tumhen aisee pilaa denge tum aao to sahee

हम तुम्हें ऐसी पिला देंगे तुम आओ तो सही
Year
Language

प्रेलुदे
कौन है जिसने मय नहीं चक्‌खी
कौन झूठी क़सम उठाता है
मयकदे से जो बच निकलता है
तेरी आँखों में डूब जाता है

हम तुम्हें ऐसी पिला देंगे तुम आओ तो सही
होश का नाम भुला देंगे तुम आओ तो सही

जाम बोतल से भरो और लगा लो मुँह से
तुमको पीना भी सिखा देंगे तुम आओ तो सही

आज कल रोज़ है मयख़ाने में आना जाना
तुमको साक़ी से मिला देंगे तुम आओ तो सही

क्‌या कहा ग़म ने सता रखा है तोबा तोबा
ग़म को थोड़ी सी पिला देंगे तुम आओ तो सही

prelude
kaun hai jisne may nahīṅ chak‌khī
kaun jhūṭhī qasam uṭhātā hai
mayakde se jo bach nikaltā hai
terī āṇkhoṅ meṅ ḍūb jātā hai

ham tumheṅ aisī pilā deṅge tum āo to sahī
hośh kā nām bhulā deṅge tum āo to sahī

jām botal se bharo aur lagā lo muṇh se
tumko pīnā bhī sikhā deṅge tum āo to sahī

āj kal roz hai mayakhāne meṅ ānā jānā
tumko sāqī se milā deṅge tum āo to sahī

k‌yā kahā ġham ne satā rakhā hai tobā tobā
ġham ko thoṛī sī pilā deṅge tum āo to sahī