Ham the tumahre tum the hamaare

हम थे तुमहरे तुम थे हमारे
Year
Language

हम थे तुमहरे तुम थे हमारे
हाए वो भी ज़माना याद करो

दिल को लगा के हम से आंखें चुरा के
दूर गए हो जब से आए न जा के
छुपके जहां पर मिल्ते हम तुम
हाए वो भी ठिकाना याद करो
हम थे तुमहरे…

खेल नहीं है कोई दिल का लगाना
देखो वो बातें कहीं भूल न जाना
तीर चले थे नज़रों के जिस पर
हाए वो भी निशाना याद करो
हम थे तुमहरे…

हाथों में आ के दामन छूट न जाएं
येह दो दिलों के रिशते टूट न जाएं
दिल से कभी जो दिल ने कहा था
हाए वो भी फ़साना याद करो
हम थे तुमहरे…

ham the tumahre tum the hamāre
hāe vo bhī zamānā yād karo

dil ko lagā ke ham se āṅkheṅ churā ke
dūr gae ho jab se āe na jā ke
chhupke jahāṅ par milte ham tum
hāe vo bhī ṭhikānā yād karo
ham the tumahre…

khel nahīṅ hai koī dil kā lagānā
dekho vo bāteṅ kahīṅ bhūl na jānā
tīr chale the nazroṅ ke jis par
hāe vo bhī niśhānā yād karo
ham the tumahre…

hāthoṅ meṅ ā ke dāman chhūṭ na jāeṅ
yeh do diloṅ ke riśhte ṭūṭ na jāeṅ
dil se kabhī jo dil ne kahā thā
hāe vo bhī fasānā yād karo
ham the tumahre…