हम ने देखी है इन आँखों की महकती खुशबू
हम ने देखी है इन आँखों की महकती खुशबू
हाथ से छूके इसे रिश्तों का इल्ज़ाम न दो
सिर्फ़ एहसास है ये रूह से महसूस करो
प्यार को प्यार ही रहने दो कोई नाम न दो
हम ने देखी है …
प्यार कोई बोल नहीं, प्यार आवाज़ नहीं
एक खामोशी है सुनती है कहा करती है
ना ये बुझती है ना रुकती है ना ठहरी है कहीं
नूर की बूँद है सदियों से बहा करती है
सिर्फ़ एहसास है ये, रूह से महसूस करो
प्यार को प्यार ही रहने दो, कोई नाम ना दो
हम ने देखी है …
मुस्कराहट सी खिली रहती है आँखों में कहीं
और पलकों पे उजाले से छुपे रहते हैं
होंठ कुछ कहते नहीं, काँपते होंठों पे मगर
कितने खामोश से अफ़साने रुके रहते हैं
सिर्फ़ एहसास है ये, रूह से महसूस करो
प्यार को प्यार ही रहने दो, कोई नाम ना दो
हम ने देखी है …
ham ne dekhī hai in āṇkhoṅ kī mahaktī khuśhbū
hāth se chhūke ise riśhtoṅ kā ilzām na do
sirf ehsās hai ye rūh se mahsūs karo
pyār ko pyār hī rahne do koī nām na do
ham ne dekhī hai …
pyār koī bol nahīṅ, pyār āvāz nahīṅ
ek khāmośhī hai suntī hai kahā kartī hai
nā ye bujhtī hai nā ruktī hai nā ṭhahrī hai kahīṅ
nūr kī būṇd hai sadiyoṅ se bahā kartī hai
sirf ehsās hai ye, rūh se mahsūs karo
pyār ko pyār hī rahne do, koī nām nā do
ham ne dekhī hai …
muskrāhaṭ sī khilī rahtī hai āṇkhoṅ meṅ kahīṅ
aur palkoṅ pe ujāle se chhupe rahte haiṅ
hoṅṭh kuchh kahte nahīṅ, kāṇpte hoṅṭhoṅ pe magar
kitne khāmośh se afsāne ruke rahte haiṅ
sirf ehsās hai ye, rūh se mahsūs karo
pyār ko pyār hī rahne do, koī nām nā do
ham ne dekhī hai …