Ham to kitnon ko mahazbeen kahte

हम तो कितनों को महज़बीं कहते
Year
Language

हम तो कितनों को महज़बीं कहते
आप हैं इसलिये नहीं कहते

चाँद होता न आसमाँ पे अगर
हम किसे आप सा हसीं कहते

आपने औरों से कहा सब कुछ
हमसे कुछ तो कभी कहीं कहते

रात देखा था जाते जाते उन्हें
चाँद को अपना जाँनशीं कहते

ham to kitnoṅ ko mahazbīṅ kahte
āp haiṅ isliye nahīṅ kahte

chāṇd hotā na āsmāṇ pe agar
ham kise āp sā hasīṅ kahte

āpne auroṅ se kahā sab kuchh
hamse kuchh to kabhī kahīṅ kahte

rāt dekhā thā jāte jāte unheṅ
chāṇd ko apnā jāṇnśhīṅ kahte