Ham ki thahre ajanbee itnee madaaraaton ke baad

हम कि ठहरे अजनबी इतनी मदारातों के बाद्
Year
Language

हम कि ठहरे अजनबी इतनी मदारातों के बाद
फिर बनेंगे आश्ना कितनी मुलाक़ातों के बाद

कब नज़र में आयेगी बेदाग़ सब्ज़े की बहार
ख़ून के धब्बे धुलेंगे कितनी बरसातों के बाद

थे बहुत बे-दर्द ख़त्म-ए-दर्द-ए-इश्क़ के
थीं बहुत बेसब्र सुबहें मेहरबाँ रातों के बाद

दिल तो चाहा पर शिकस्त-ए-दिल ने मोहलत ही न दी
कुछ गिले शिकवे भी कर लेते मुनाजातों के बाद

उनसे जो कहने गये थे 'फ़ैज़्' जाँ-सदक़े किये
अनकही ही रह गई वो बात सब बातों के बाद्

ham ki ṭhahre ajanbī itnī madārātoṅ ke bād
phir baneṅge āśhnā kitnī mulāqātoṅ ke bād

kab nazar meṅ āyegī bedāġh sabze kī bahār
khūn ke dhabbe dhuleṅge kitnī barsātoṅ ke bād

the bahut be-dard khatm-e-dard-e-iśhq ke
thīṅ bahut besabr subheṅ meharbāṇ rātoṅ ke bād

dil to chāhā par śhikast-e-dil ne mohlat hī na dī
kuchh gile śhikve bhī kar lete munājātoṅ ke bād

unse jo kahne gaye the 'faiz' jāṇ-sadaqe kiye
anakhī hī rah gaī vo bāt sab bātoṅ ke bād