Ham the jinke sahaare, vo hue naa hamaare

हम थे जिनके सहारे, वो हुए ना हमारे
Work
Year
Language

हम थे जिनके सहारे, वो हुए ना हमारे
डूबी जब दिल की नय्या, सामने थे किनारे
हम थे जिनके सहारे …

क्‌या मुहब्बत के वादे, क्‌या वफ़ा के इरादे
रेत की हैं दीवारें, जो भी चाहे गिरा दे
जो भी चाहे गिरा दे
हम थे जिनके सहारे …

है सभी कुछ जहाँ में, दोस्ती है वफ़ा है
अपनी ये कमनसीबी, हमको ना कुछ भी मिला है
हमको ना कुछ भी मिला है
हम थे जिनके सहारे …

यूँ तो दुनिया बसेगी, तनहाई फिर भी डसेगी
जो ज़िंदगी में कमी थी, वो कमी तो रहेगी
वो कमी तो रहेगी
हम थे जिनके सहारे …

ham the jinke sahāre, vo hue nā hamāre
ḍūbī jab dil kī nayyā, sāmne the kināre
ham the jinke sahāre …

k‌yā muhabbat ke vāde, k‌yā vafā ke irāde
ret kī haiṅ dīvāreṅ, jo bhī chāhe girā de
jo bhī chāhe girā de
ham the jinke sahāre …

hai sabhī kuchh jahāṇ meṅ, dostī hai vafā hai
apnī ye kamansībī, hamko nā kuchh bhī milā hai
hamko nā kuchh bhī milā hai
ham the jinke sahāre …

yūṇ to duniyā basegī, tanhāī phir bhī ḍasegī
jo ziṅdgī meṅ kamī thī, vo kamī to rahegī
vo kamī to rahegī
ham the jinke sahāre …