Ham hee men thee na koee baat yaad na tumko aa sake

हम ही में थी न कोई बात याद न तुमको आ सके
Year
Language

हम ही में थी न कोई बात याद न तुमको आ सके
तुमने हमें भुला दिया हम ना तुम्हें भुला सके

तुम भी न सुन सके अगर क़िस्सा-ए-ग़म सुनेगा कौन
किसकी ज़ुबाँ खुलेगी फिर हम ना अगर सुना सके

शौक़-ए-विसाल है यहाँ लब पे सवाल है यहाँ
किसकी मजाल है यहाँ हमसे नज़र मिला सके

ham hī meṅ thī na koī bāt yād na tumko ā sake
tumne hameṅ bhulā diyā ham nā tumheṅ bhulā sake

tum bhī na sun sake agar qissā-e-ġham sunegā kaun
kiskī zubāṇ khulegī phir ham nā agar sunā sake

śhauq-e-visāl hai yahāṇ lab pe savāl hai yahāṇ
kiskī majāl hai yahāṇ hamse nazar milā sake