Ham to hain pardes men, des men niklaa hogaa zagjit Singh

हम तो हैं परदेस में, देस में निकला होगा ज़ग्जित Sइन्घ
Year
Language

हम तो हैं परदेस में, देस में निकला होगा चांद - 2
अपनी रातकी छत पर कितना, तनहा होगा चांद हो ओ ओ
हम तो हैं परदेस में, देस में निकला होगा चांद …

जिन आँखों में काजल बन कर तैरी काली रात हो - 2
उन आँखों में आँसू का एक कतरा होगा चांद हो
हम तो हैं परदेस में, देस में निकला होगा चांद …

रात ने ऐसा पेच लगाया, टूटी हाथ से डोर हो - 2
आँगन वाले नीम में जाकर अटका होगा चांद हो
हम तो हैं परदेस में, देस में निकला होगा चांद …

चांद बिना हर दिन यूँ बीता जैसे युग बीतें हो - 2
मेरे बिना किस हाल में होगा, कैसा होगा चांद हो
हम तो हैं परदेस में, देस में निकला होगा चांद …
अपनी रातकी छत पर कितना, तनहा होगा चांद हो ओ ओ
हम तो हैं परदेस में, देस में निकला होगा चांद …

ham to haiṅ pardes meṅ, des meṅ niklā hogā chāṅd - 2
apnī rātkī chhat par kitnā, tanhā hogā chāṅd ho o o
ham to haiṅ pardes meṅ, des meṅ niklā hogā chāṅd …

jin āṇkhoṅ meṅ kājal ban kar tairī kālī rāt ho - 2
un āṇkhoṅ meṅ āṇsū kā ek katrā hogā chāṅd ho
ham to haiṅ pardes meṅ, des meṅ niklā hogā chāṅd …

rāt ne aisā pech lagāyā, ṭūṭī hāth se ḍor ho - 2
āṇgan vāle nīm meṅ jākar aṭkā hogā chāṅd ho
ham to haiṅ pardes meṅ, des meṅ niklā hogā chāṅd …

chāṅd binā har din yūṇ bītā jaise yug bīteṅ ho - 2
mere binā kis hāl meṅ hogā, kaisā hogā chāṅd ho