हम भी मिट जाते कोई ज़ख़्म-ए-तमन्ना बन कर्
हम भी मिट जाते कोई ज़ख़्म-ए-तमन्ना बन कर
काश आती न तेरी याद मसीहा बन कर
दिल की हर आग बुझाने को तेरी याद आई
कभी क़तरा कभी शबनम कभी दरिया बन कर
रास्ता भूल गई याद किसी की वरना
हम ग़रीबों के घर आती न उजाला बन कर
जब चले दश्त की जानिब तो ये देखा हमने
सामने याद खड़ी थी तेरी लैला बन कर्
ham bhī miṭ jāte koī zakhm-e-tamannā ban kar
kāśh ātī na terī yād masīhā ban kar
dil kī har āg bujhāne ko terī yād āī
kabhī qatrā kabhī śhabnam kabhī dariyā ban kar
rāstā bhūl gaī yād kisī kī varnā
ham ġharīboṅ ke ghar ātī na ujālā ban kar
jab chale daśht kī jānib to ye dekhā hamne
sāmne yād khaṛī thī terī lailā ban kar