Haath chhoote bhee to rishte naheen chhoraa karte

हाथ छूटे भी तो रिश्ते नहीं छोड़ा करते
Year
Language

हाथ छूटे भी तो रिश्ते नहीं छोड़ा करते
वक़्त की शाख से लम्हें नहीं तोड़ा करते
हाथ छूटे भी तो …

जिसकी आवाज़ में सिलवट हो निगाहों में शिकन
ऐसी तस्वीर के टुकड़े नहीं जोड़ा करते

शह्द जीने का मिला करता है थोड़ा थोड़ा
जाने वालों के लिए दिल नहीं तोड़ा करते

लग के साहिल से जो बहता है उसे बहने दो
ऐसे दरिया का कभी रुख नहीं मोड़ा करते
वक़्त की शाख से …

hāth chhūṭe bhī to riśhte nahīṅ chhoṛā karte
vaqt kī śhākh se lamheṅ nahīṅ toṛā karte
hāth chhūṭe bhī to …

jiskī āvāz meṅ silavaṭ ho nigāhoṅ meṅ śhikan
aisī tasvīr ke ṭukaṛe nahīṅ joṛā karte

śhahd jīne kā milā kartā hai thoṛā thoṛā
jāne vāloṅ ke lie dil nahīṅ toṛā karte

lag ke sāhil se jo bahtā hai use bahne do
aise dariyā kā kabhī rukh nahīṅ moṛā karte
vaqt kī śhākh se …