in havāoṅ meṅ, in phijāoṅ meṅ,
tujh ko merā pyār pukāre
ājā, ājā re, tujh ko merā pyār pukāre
ruk nā pāūṇ maiṅ, khiṅchtī āūṇ maiṅ
dil ko jab dildār pukāre
lauṭ rahī haiṅ merī sadāyeṅ, dīvāroṅ se sar ṭakrāke
hāth pakaḍkar chalnevāleṅ, ho gae rukhasat hāth chhuḍā ke
unko kuchh bhī yād nahī hai, ab koī sau bār pukāre
ājā, ājā re, tujh ko merā pyār pukāre
ilm nahīṅ thā itnī jaldī khatm phasāne ho jāyeṅge
tum begāne ban jāoge, ham dīvāne ho jāyeṅge
kal bāhoṅkā hār milā thā, āj aśhkoṅ kā hār pukāre
ājā, ājā re, tujh ko merā pyār pukāre
lūṭ ke mere dil kī duniyā, pyār ke jhūle jhūlnevāle
patthar bankar yūṇ chūp kyoṅ hai, kuchh to kah o bhūlnevāle
ek pūrānī yād bulāe, ek ṭūṭā ikrār pukāre
ājā, ājā re, tujh ko merā pyār pukāre