Ghoom aaye sabhee dishaaon men

घूम आये सभी दिशाओं में
Year
Language

घूम आये सभी दिशाओं में
सुख मिला आ के अपने गाँव में

सबको अपनी तरह समझते हैं
हम भी रहते हैं किन हवाओं में

तुमसे हम दूर हैं मुसाफ़िर हैं
याद रखना हमें दुआओं में

आदमी तो ज़मीं पे रहता है
क्‌या मिलेगा तुम्हें ख़लाओं में

'दौर्' हर सिम्त ज़र्द चेहरे हैं
घिर गये लोग किन बलाओं में

ghūm āye sabhī diśhāoṅ meṅ
sukh milā ā ke apne gāṇv meṅ

sabko apnī tarah samajhte haiṅ
ham bhī rahte haiṅ kin havāoṅ meṅ

tumse ham dūr haiṅ musāfir haiṅ
yād rakhnā hameṅ duāoṅ meṅ

ādmī to zamīṅ pe rahtā hai
k‌yā milegā tumheṅ khalāoṅ meṅ

'daur' har simt zard chehre haiṅ
ghir gaye log kin balāoṅ meṅ