गीत कितने गा चुकी हूँ इस सुखी जग के लिये
आज रोने दो मुझे पल एक अपने ही लिये
रो रही थी बीन और सुन कर सुखी संसार था
नाचती थी उँगलियाँ और कांपता हर तार था
आज टूटा तार मेरे बीन का आघात से
आज कुम्हलाया कुसुम मेरा अधिक बरसात से
साज़ धोने दो नयन की अश्रु खोने दो मुझे
कल सुनाऊँगी मधुर कुछ आज रोने दो मुझे
gīt kitne gā chukī hūṇ is sukhī jag ke liye
āj rone do mujhe pal ek apne hī liye
ro rahī thī bīn aur sun kar sukhī saṅsār thā
nāchtī thī uṇgliyāṇ aur kāṅptā har tār thā
āj ṭūṭā tār mere bīn kā āghāt se
āj kumhlāyā kusum merā adhik barsāt se
sāz dhone do nayan kī aśhru khone do mujhe
kal sunāūṇgī madhur kuchh āj rone do mujhe