gaṅgā terā pānī amṛt jhar-jhar bahtā jāe
yug-yug se is deśh kī dhartī tujhse jīvan pāe
gaṅgā terā pānī …
dūr himālay se tū āī gīt suhāne gātī
bastī-bastī parvat-parvat sukh-saṅdeśh sunātī
terī chāṇdī jaisī dhārā mīloṅ tak lahrāe
gaṅgā terā pānī …
kitne sūraj ubhre-ḍūbe gaṅgā tere dvāre
yugoṅ-yugoṅ kī kathā sunāeṇ tere bahte dhāre
tujhko chhoṛ ke bhārat kā itihās likhā na jāe
gaṅgā terā pānī …
is dhartī kā dukh-sukh tūne apne bīch samoyā
jab-jab deśh ġhulām huā hai terā pānī royā
jab-jab ham āzād hue haiṅ tere taṭ muskāe
gaṅgā terā pānī …
khetoṅ-khetoṅ tujhse jāgī dhartī par hariyālī
fasleṅ terā rāg alāpeṅ jhūme bālī-bālī
terā pānī pī kar miṭṭī sone meṅ ḍhal jāe
gaṅgā terā pānī …
tere dān kī daulat ūṇche khalihānoṅ meṅ ḍhaltī
khuśhiyoṅ ke mele lagte mehnat kī ḍālī phaltī
lahak-lahak kar dhūm machāte terī god meṅ jāe
gaṅgā terā pānī …