chhoṛ ke nā jānā nā nā jānāṅ phir mujhe tum
chhoṛ ke nā jānā
phir na merā dil dukhānā phir na taṛpānā ho
chhoṛ ke nā jānā
kaisī dhun meṅ kho gaī hai ye to pāgal ho gaī hai
isko ye kyā ho gayā hai jāgte meṅ so gaī hai
chhoṛ ke nā jānā …
ḍas rahā hai tan ko tanhāī kā nāg
merī nas nas meṅ hai jāne kaisī āg
maiṅ hūṇ jaise bāṇsurī aur sāṇs tū
gūṅjtā hai tū badan meṅ ban ke rāg
sun rahī haiṅ ye fizāeṅ apnā afsānā
nā nā nā nā nā
chhoṛ ke nā jānā …
tū jo chhū le to bahak jātī hūṇ maiṅ
garm hāthoṅ se dahak jātī hūṇ maiṅ
jism lagtā hai mujhe ik phūl sā
tere pās āke mahak jātī hūṇ maiṅ
hai tere bin kaise mumkin chain pā jānā
nā nā nā nā nā
chhoṛ ke nā jānā …
ārjūeṅ dil ko pighlāne lagīṅ
hāy kyūṅ aṅgaṛāīyāṇ āne lagīṅ
kāṅptī hūṇ tharathrātī hūṇ maiṅ kyūṅ
kyūṅ maiṅ ākhir tumse śharmāne lagī
ye mujhe kyā ho rahā hai tum hī samjhānā
nā nā nā nā nā
chhoṛ ke nā jānā …