Gamzaa paikaan huaa jaataa hai

गम्ज़ा पैकान हुआ जाता है
Year
Language

गम्ज़ा पैकान हुआ जाता है
दिल का अरमान हुआ जाता है

देख कर उलझी हुई ज़ुल्फ़ उन की
दिल परेशान हुआ जाता है

तेरी वहशत की बदौलत-ए-दिल
घर बियाबान हुआ जाता है

साज़-ओ-सामान का न होना ही मुझे
साज़-ओ-सामान हुआ जाता है

दिल से जाते हैं मेरे सब्र-ओ-क़रार
घर ये वीरान हुआ जाता है

दिल की रगरग में समा कर 'बेदम्'
दर्द तो जान हुआ जाता है

gamzā paikān huā jātā hai
dil kā armān huā jātā hai

dekh kar uljhī huī zulf un kī
dil pareśhān huā jātā hai

terī vahśhat kī badaulat-e-dil
ghar biyābān huā jātā hai

sāz-o-sāmān kā na honā hī mujhe
sāz-o-sāmān huā jātā hai

dil se jāte haiṅ mere sabr-o-qarār
ghar ye vīrān huā jātā hai

dil kī ragarag meṅ samā kar 'bedam'
dard to jān huā jātā hai