Gam naheen jo tan se nikal dil gayaa

गम नहीं जो तन से निकल दिल गया
Year
Language

ग़म नहीं जो तन से निकल दिल गया
मिल गये तुम मुझको सब कुछ मिल गया

दाग़-ए-ग़म रोज़-ए-अज़ल ही मिल गया
तन में जाँ आने से पहले दिल गया

ऐ निगाह-ए-यास तेरा हो बुरा
घर तलक रोता हुआ क़ातिल गया

मरहले तय कुंज-ए-उज़्लत में किये
बैठे बैठे सैकड़ों मंज़िल गया

आई जब सहरा में ख़ुश-चश्मों की याद
सामने नरगिस का तख़्ता खिल गया

वा-ए-क़िस्मत ग़ाफ़िल आया मैं 'अमीर्'
उम्र भर ग़ाफ़िल रहा ग़ाफ़िल गया

ġham nahīṅ jo tan se nikal dil gayā
mil gaye tum mujhko sab kuchh mil gayā

dāġh-e-ġham roz-e-azal hī mil gayā
tan meṅ jāṇ āne se pahle dil gayā

ai nigāh-e-yās terā ho burā
ghar talak rotā huā qātil gayā

marahle tay kuṅj-e-uzlat meṅ kiye
baiṭhe baiṭhe saikaṛoṅ maṅzil gayā

āī jab sahrā meṅ khuśh-chaśhmoṅ kī yād
sāmne nargis kā takhtā khil gayā

vā-e-qismat ġhāfil āyā maiṅ 'amīr'
umr bhar ġhāfil rahā ġhāfil gayā