Gam-e-aashiqee se kah do raah-e-aam tak na pahunche

गम-ए-आशिक़ी से कह दो राह-ए-आम तक न पहुँचे
Year
Language

ग़म-ए-आशिक़ी से कह दो राह-ए-आम तक न पहुँचे
मुझे ख़ौफ़ है ये तोहमत मेरे नाम तक न पहुँचे

मैं नज़र से पी रहा था तो ये दिल ने बद-दुआ दी
तेरा हाथ ज़िंदगी भर कभी जाम तक न पहुँचे

ये आदा-ए-बेनियाज़ी तुझे बेवफ़ा मुबारक
मगर ऐसी बेरुखी क्‌या कि सलाम तक न पहुँचे

वही इक खामोश नग़मा है 'शकील्' जान-ए-हस्ती
जो ज़ुबान तक न आये जो कलाम तक न पहुँचे

ġham-e-āśhiqī se kah do rāh-e-ām tak na pahuṇche
mujhe khauf hai ye tohmat mere nām tak na pahuṇche

maiṅ nazar se pī rahā thā to ye dil ne bad-duā dī
terā hāth ziṅdgī bhar kabhī jām tak na pahuṇche

ye ādā-e-beniyāzī tujhe bevafā mubārak
magar aisī berukhī k‌yā ki salām tak na pahuṇche

vahī ik khāmośh naġhmā hai 'śhakīl' jān-e-hastī
jo zubān tak na āye jo kalām tak na pahuṇche