गैरों से अब सुना करो नग़्में बहार के
ग़ैरों से अब सुना करो नग़्में बहार के
हम तो चले मता-ए-दिल-ओ-जान हार के
बाद-ए-सहर ने जब तेरे आने की दी नवीद
मुर्झाये फूल खिल उठे मेरे मज़ार के
अक्सर उसी पे जा के गिरी बर्क-ए-बे-अमाँ
तुरग़े बुलंद हो गये जिस शाख़सार के
जलने को दिल तो दे दिया दिल को ज़बाँ न दी
देखे हैं हमने हौसले परवरदिगार के
सूरज की धूप भी इन्हें शायद ही धो सके
जो हाशिये उफ़क़ पे हैं दर्द-ओ-ग़ुबार के
ġhairoṅ se ab sunā karo naġhmeṅ bahār ke
ham to chale matā-e-dil-o-jān hār ke
bād-e-sahar ne jab tere āne kī dī navīd
murjhāye phūl khil uṭhe mere mazār ke
aksar usī pe jā ke girī bark-e-be-amāṇ
turaġhe bulaṅd ho gaye jis śhākhsār ke
jalne ko dil to de diyā dil ko zabāṇ na dī
dekhe haiṅ hamne hausle paravardigār ke
sūraj kī dhūp bhī inheṅ śhāyad hī dho sake
jo hāśhiye ufaq pe haiṅ dard-o-ġhubār ke