Gair ban ke na milen ham tumhen apnaa kar len

गैर बन के न मिलें हम तुम्हें अपना कर लें
Year
Language

ग़ैर बन के न मिलें हम तुम्हें अपना कर लें
हो इजाज़त तो ये छोटी सी तमन्ना कर लें

तेज़ साँसों में रची प्यार की शहनाई हो
फूल सा चेहरा हो महकी हुई तनहाई हो
नीची नज़रें जो उठें देख के पर्दा कर लें

हमने अल्लाह से यूँ दाद-ए-वफ़ा माँगी है
जल्द मिल जाओ हमें तुम ये दुआ माँगी है
हाँ जो कह दो तो अभी शुक्‌र का सजदा कर लें

है मुकद्दर पर हमें नाज़ मोहब्बत पे यक़ीं
जीते जी तुमसे जुदाई कभी मुमकिन ही नहीं
मरके भी हम न जुदा होंगे ये वादा कर लें

ġhair ban ke na mileṅ ham tumheṅ apnā kar leṅ
ho ijāzat to ye chhoṭī sī tamannā kar leṅ

tez sāṇsoṅ meṅ rachī pyār kī śhahnāī ho
phūl sā chehrā ho mahkī huī tanhāī ho
nīchī nazreṅ jo uṭheṅ dekh ke pardā kar leṅ

hamne allāh se yūṇ dād-e-vafā māṇgī hai
jald mil jāo hameṅ tum ye duā māṇgī hai
hāṇ jo kah do to abhī śhuk‌ra kā sajdā kar leṅ

hai mukaddar par hameṅ nāz mohabbat pe yaqīṅ
jīte jī tumse judāī kabhī mumkin hī nahīṅ
marke bhī ham na judā hoṅge ye vādā kar leṅ