Lata version
na puuchho pyaar kii hamane vo haqiiqat dekhii
vafaa ke naam pe bikatii hu_ii ulfat dekhii
kisii ne luuT liyaa aur hame.n Kabar na hu_ii
khulii jo aa.Nkh to barbaad muhabbat dekhii
sab kuchh luTaa ke hosh me.n aa_e to kyaa kiyaa
din me.n agar charaaG jalaa_e to kyaa kiyaa
(mai.n vo kalii huu.N jo na bahaaro.n me.n khil sakii) \-2
vo dil huu.N jisako pyaar kii ma.nzil na mil sakii
ma.nzil na mil sakii
patthar pe hamane phuul cha.Dhaa_e to kyaa kiyaa
(jo mil na sakaa pyaar Gam kii shaam to mile)\-2
ik bevafaa se pyaar kaa a.njaam to mile
(ai maut jald aa) \-2 zaraa aaraam to mile
do din Kushii ke dekh na paa_e to kyaa kiyaa
ṭalat version
karte rahe khizāṇ se ham saudā bahār kā
badlā diyā to kyā ye diyā unke pyār kā
sab kuchh luṭā ke hośh meṅ āye to kyā kiyā? -2
din meṅ agar charāġh jalāye to kyā kiyā?
sab kuchh luṭā ke hośh meṅ āye to kyā kiyā? -2
ham badansīb pyār kī rusvāī ban gaye -2
khud hī lagā ke āg tamāśhāī ban gaye,
tamāśhāī ban gaye
dāman se ab ye śhole bujhāye to kyā kiyā?
din meṅ agar charāġh jalāye to kyā kiyā?
sab kuchh luṭā ke hośh meṅ āye to kyā kiyā? -2
le-le ke hār phūloṅ ke āī to thī bahār -2
nazreṅ uṭhāke hamne hī dekhā na ek bār
dekhā na ek bār
āṇkhoṅ se ab ye parde haṭāye to kyā kiyā?
din meṅ agar charāġh jalāye to kyā kiyā?
sab kuchh luṭā ke hośh meṅ āye to kyā kiyā? -2