एक पगली मेरा नाम जो ले शरमाये भी घबराये भी
एक पगली मेरा नाम जो ले शरमाये भी घबराये भी
गलियों गलियों मुझसे मिलने आये भी घबराये भी
रात गये घर जाने वाली गुमसुम लड़की राहों में
अपनी उलझी ज़ुल्फ़ों को सुलझाये भी घबराये भी
कौन बिछड़ कर फिर लौटेगा क्यूँ आवारा फिरते हो
रातों को एक चाँद मुझे समझाये भी घबराये भी
आने वाली रुत का कितना ख़ौफ़ है उसकी आँखों में
जाने वाला दूर से हाथ हिलाये भी घबराये भी
ek paglī merā nām jo le śharmāye bhī ghabrāye bhī
galiyoṅ galiyoṅ mujhse milne āye bhī ghabrāye bhī
rāt gaye ghar jāne vālī gumsum laṛkī rāhoṅ meṅ
apnī uljhī zulfoṅ ko suljhāye bhī ghabrāye bhī
kaun bichhaṛ kar phir lauṭegā kyūṇ āvārā phirte ho
rātoṅ ko ek chāṇd mujhe samjhāye bhī ghabrāye bhī
āne vālī rut kā kitnā khauf hai uskī āṇkhoṅ meṅ
jāne vālā dūr se hāth hilāye bhī ghabrāye bhī