एक नग़्मा एक तारा एक ग़ुँचा एक जाम्
एक नग़्मा एक तारा एक ग़ुँचा एक जाम
ऐ ग़म-ए-दौराँ ग़म-ए-दौराँ तुझे मेरा सलाम
ज़ुल्फ़ आवारा गरेबाँ चाक घबराई नज़र
इन दिनों ये है जहाँ में ज़िंदगानी का निज़ाम
चन्द तारे टूट कर दामन में मेरे आ गिरे
मैंने पूछा था सितारों से तेरे ग़म का मक़ाम
पड़ गईं पैराहन-ए-सुबह-ए-चमन पर सलवटें
याद आ कर रह गई है बेख़ुदी की एक शाम
तेरी इस्मत हो के हो मेरे हुनर की चाँदनी
वक़्त के बाज़ार में हर चीज़ के लगते हैं दाम्
ek naġhmā ek tārā ek ġhuṇchā ek jām
ai ġham-e-daurāṇ ġham-e-daurāṇ tujhe merā salām
zulf āvārā garebāṇ chāk ghabrāī nazar
in dinoṅ ye hai jahāṇ meṅ ziṅdgānī kā nizām
chand tāre ṭūṭ kar dāman meṅ mere ā gire
maiṅne pūchhā thā sitāroṅ se tere ġham kā maqām
paṛ gaīṅ pairāhan-e-subah-e-chaman par salavṭeṅ
yād ā kar rah gaī hai bekhudī kī ek śhām
terī ismat ho ke ho mere hunar kī chāṇdnī
vaqt ke bāzār meṅ har chīz ke lagte haiṅ dām