Ek to chehraa aisaa ho

एक तो चेहरा ऐसा हो
Year
Language

एक तो चेहरा ऐसा हो
मेरे लिये जो सजता हो

शाम ढले एक दरवाज़ा
राह मेरी भी तकता हो

मेरा दुख वो समझेगा
मेरी तरह जो तनहा हो

एक सुहाना मुस्तकबिल
ख़ाब सा जैसे देखा हो

अब 'शहज़ाद्' वो दीपक है
जो तूफ़ान में जलता हो

ek to chehrā aisā ho
mere liye jo sajtā ho

śhām ḍhale ek darvāzā
rāh merī bhī taktā ho

merā dukh vo samjhegā
merī tarah jo tanhā ho

ek suhānā mustakbil
khāb sā jaise dekhā ho

ab 'śhahazād' vo dīpak hai
jo tūfān meṅ jaltā ho