एक बस तू ही नहीं मुझसे ख़फ़ा हो बैठा
एक बस तू ही नहीं मुझसे ख़फ़ा हो बैठा
मैंने जो संग तराशा था ख़ुदा हो बैठा
उठ के मंज़िल ही अगर आये तो शायद कुछ हो
शौक़-ए-मंज़िल तो मेरा आब्ला-पा हो बैठा
मसलह्त छीन ली क़ुव्वत-ए-ग़ुफ़्तार मगर
कुछ न कहना ही मेरा मेरी ख़ता हो बैठा
शुक्रिया ऐ मेरे क़ातिल ऐ मसीहा मेरे
ज़हर जो तूने दिया था वो दवा हो बैठा
जान-ए-शहज़ाद को मिन-जुम्ला-ए-आदा पा कर
हूक वो उट्ठी कि जी तन से जुदा हो बैठा
ek bas tū hī nahīṅ mujhse khafā ho baiṭhā
maiṅne jo saṅg tarāśhā thā khudā ho baiṭhā
uṭh ke maṅzil hī agar āye to śhāyad kuchh ho
śhauq-e-maṅzil to merā āblā-pā ho baiṭhā
maslaht chhīn lī quvvat-e-ġhuftār magar
kuchh na kahnā hī merā merī khatā ho baiṭhā
śhukriyā ai mere qātil ai masīhā mere
zahar jo tūne diyā thā vo davā ho baiṭhā
jān-e-śhahazād ko min-jumlā-e-ādā pā kar
hūk vo uṭṭhī ki jī tan se judā ho baiṭhā