kyā hai merā nām na pūchho gir jāeṇge jām na pūchho
kaun hūṇ maiṅ ye jān ke sabko lag jāegī tharathrī
ye duniyā ek nambrī to maiṅ das nambrī
is mahafil meṅ kis par kyā raṅg chaṛhā sab jānūṇ
kaun chhupā kis bheṣh meṅ pyāre maiṅ sabko pahchānūṇ
kyā hai merā nām …
lūṭ ke jiskā ghar baiṭhe ho mahal sajāe apnā
uskā lahū pukār rahā hai yār bachoge kitnā
zulm haiṅ jitne rāt aur din
ke lūṇgā badle sab gin-gin
are baṛe-baṛoṅ kī kar dī tabīyat harī
ye duniyā ek nambrī …
kahat kabīr suno bhaī sādho bāt kahūṇ maiṅ kharī
ye duniyā ek nambrī to maiṅ das nambrī -2
ek naṅbar kā hāth dikhāyā jab kah ke jay kālī
kitne hī seṭhoṅ kī bhārī jebeṅ ho gaīṅ khālī
do naṅbar hai aur nirālā dekhūṇ aur khul jāe tālā
uṛ ke jeb meṅ ā jāe hare noṭ kī parī
ye duniyā ek nambrī …
naṅbar tīn kā chamatkār dekho jab pheṅkūṇ pattā
sabkī tabīyat karūṇ sāf dillī ho yā kalkattā
chauthe ne rāh gazab kā jhāṇsā āp kiyā dūje ko phāṇsā
kabhī-kabhī to pulis ko ulṭe dikhlāūṇ hathkaṛī
ye duniyā ek nambrī …
pāṇchvā naṅbar zulm kā duśhman maiṅ dukhiyoṅ kā sāthī
chhaṭhā deśh ke gaddāroṅ se chhīn lūṇ ghar kī bātī
naṅbar sāth kare jo daṅgā ek hāth meṅ kar dūṇ chaṅgā
laṅgaṛī-ṭaṅgaṛī chhurī-kaṭārī sab rah jāeṇ dharī
ye duniyā ek nambrī …
kalā āṭhvīṅ ye hai ki maiṅ pyār se miltā sabse
pyār kī khātir insāṇ kyā hai laṛ jāūṇ maiṅ rab se
navāṇ jo mile mujhe hasīnā nau din tak na ruke pasīnā
aur naṅbar das das
likhā hai ye to har thāne meṅ sifat hai kyā-kyā dīvāne meṅ
jitnī ūṅgliyāṅ in hāthoṅ meṅ utnī jādugrī
ye duniyā ek nambrī …