Duniyaa kisee ke pyaar men jannat se kam naheen

दुनिया किसी के प्यार में जन्नत से कम नहीं
Year
Language

प्रेलुदे
बुलबुल ने गुल से, गुल ने बहारों से कह दिया
इक चौदहवी के चाँद ने तारों से कह दिया

दुनिया किसी के प्यार में जन्नत से कम नहीं
इक दिलरुबा है दिल में जो हूरों से कम नहीं

भूले से मुस्कराओ तो मोती बरस पड़ें
पलकें उठा के देखो तो कलियाँ भी हँस पड़ें
ख़ुश्बू तुम्हारी ज़ुल्फ़ की फुलों से कम नहीं

तुम बादशाह-ए-हुस्न हो हुस्न-ए-जहान हो
जान-ए-वफ़ा हो और मुहब्बत की शान हो
जलवे तुम्हारे हुस्न के तारों से कम नहीं

prelude
bulbul ne gul se, gul ne bahāroṅ se kah diyā
ik chaudahvī ke chāṇd ne tāroṅ se kah diyā

duniyā kisī ke pyār meṅ jannat se kam nahīṅ
ik dilrubā hai dil meṅ jo hūroṅ se kam nahīṅ

bhūle se muskrāo to motī baras paṛeṅ
palkeṅ uṭhā ke dekho to kaliyāṇ bhī hṇs paṛeṅ
khuśhbū tumhārī zulf kī phuloṅ se kam nahīṅ

tum bādśhāh-e-husn ho husn-e-jahān ho
jān-e-vafā ho aur muhabbat kī śhān ho
jalve tumhāre husn ke tāroṅ se kam nahīṅ