दुख की लहर ने छेड़ा होगा
याद ने कंकड़ फेंका होगा
आज तो मेरा दिल कहता है
तू इस वक़्त अकेला होगा
मेरे चूमे हुए हाथों से
औरों को ख़त लिखता होगा
यादों की जलती शबनम से
फूल सा मुखड़ा धोया होगा
मोती जैसी शक्ल बना कर
आईने को तकता होगा
मैं तो आज बहुत रोया हूँ
तू भी शायद रोया होगा
'नासिर्' तेरा मीत पुराना
तुझको याद तो आता होता
dukh kī lahar ne chheṛā hogā
yād ne kaṅkaṛ pheṅkā hogā
āj to merā dil kahtā hai
tū is vaqt akelā hogā
mere chūme hue hāthoṅ se
auroṅ ko khat likhtā hogā
yādoṅ kī jaltī śhabnam se
phūl sā mukhaṛā dhoyā hogā
motī jaisī śhakla banā kar
āīne ko taktā hogā
maiṅ to āj bahut royā hūṇ
tū bhī śhāyad royā hogā
'nāsir' terā mīt purānā
tujhko yād to ātā hotā