bahut khūbsurat javān ek laṛkī
saṛak pe akelī chalī jā rāhī thī …
fakat nām ko usne pahne the kapaṛe
ajaṅtā kī mūrat nazar ā rahī thī, nazar ā rahī thī
koī manachlā usse ṭakrā gayā, koī manachlā usse ṭakrā gayā
(mere dostoṅ, tum karo faislā,
khatā kiskī hai, kisko deṅ ham sazā ) - 2
huā hādsā jo, vo kaise nā hotā
ke banke qayāmat vo niklī thī ghar se, vo niklī thī ghar se
nā dekhe koī to śharāfat hai uskī
jo dekhe to kuchh bhī jhuke nā najar se, jhuke nā najar se
koi dilajlā muft mārā gayā, koi, dilajlā muft mārā gayā
(mere dostoṅ, tum karo faislā,
khatā kiskī hai, kisko deṅ ham sazā ) - 2
hasīṅ to hameśhā hasīṅ the magar,
hasīṅ to hameśhā hasīṅ the magar, kabhī rāstoṅ pe nikalte nā the
badalte the vo bhī kaī rūp lekin, naye roz faiśhan badalte nā the
gayā ek to dūsrā ā gayā ā, gayā, ek to, dūsrā ā gayā
(mere dostoṅ, tum karo faislā,
khatā kiskī hai, kisko deṅ ham sazā ) - 2