bachche man ke sachche
sārī jag ke āṇkh ke tāre
ye vo nanhe phūl haiṅ jo
bhagvān ko lagte pyāre
khud rūṭhe, khud man jāye, phir hamjolī ban jāye
jhagaṛā jiske sāth kareṅ, agle hī pal phir bāt kareṅ
inkī kisī se bair nahīṅ, inke liye koī ġhair nahīṅ
inkā bholāpan miltā hai, sabko bāṇh pasāre
bachche man ke sachche …
inssān jab tak bachchā hai, tab tak samajh kā kachchā hai
jyoṅ jyoṅ uskī umar baṛhe, man par jhūṭh ka mail chaṛhe
krodh baṛhe, nafrat ghere, lālach kī ādat ghere
bachapan in pāpoṅ se haṭkar apnī umar guzāre
bachche man ke sachche …
tan komal man sundar
haiṅ bachche baṛoṅ se behtar
inmeṅ chhūt aur chhāt nahīṅ, jhūṭhī jāt aur pāt nahīṅ
bhāṣhā kī taqrār nahīṅ, mazhab kī dīvār nahīṅ
inkī nazroṅ meṅ ek haiṅ, mandir masjid gurudvāre
bachche man ke sachche …