Do dil toote, do dil haare

दो दिल टूटे, दो दिल हारे
Year
Language

दो दिल टूटे, दो दिल हारें, दुनियावालों सदके तुम्हारे

देखेगी मुखड़ा अपना अबसे जवानी दिल के दाग में
बरसेगा कैसे सावन, कैसे पड़ेंगे झूले बाग में
बैन करेंगे ख्वाब कुंवारे, दो दिल टूटे ...

मैं ना रहूंगी लेकिन गूंजेंगी आहें मेरी गाँव में
अब ना खिलेगी सरसों, अब ना लगेगी मेहंदी पाँव में
अब ना उगेंगे चाँद सितारें, दो दिल टूटे ...

प्यार तुम्हारा देखा, देखा तुम्हारा आँखें मोड़ना
तोड़ तो डाला दिल को, खेल नहीं है दिल का तोड़ना
तड़पोंगे तुम भी साथ हमारे, दो दिल टूटे ...

do dil ṭūṭe, do dil hāreṅ, duniyāvāloṅ sadke tumhāre

dekhegī mukhaṛā apnā abse javānī dil ke dāg meṅ
barsegā kaise sāvan, kaise paṛeṅge jhūle bāg meṅ
bain kareṅge khvāb kuṅvāre, do dil ṭūṭe ...

maiṅ nā rahūṅgī lekin gūṅjeṅgī āheṅ merī gāṇv meṅ
ab nā khilegī sarsoṅ, ab nā lagegī mehaṅdī pāṇv meṅ
ab nā ugeṅge chāṇd sitāreṅ, do dil ṭūṭe ...

pyār tumhārā dekhā, dekhā tumhārā āṇkheṅ moṛnā
toṛ to ḍālā dil ko, khel nahīṅ hai dil kā toṛnā
taṛpoṅge tum bhī sāth hamāre, do dil ṭūṭe ...