दो दिल टूटे दो दिल हारे दुनियाँ वालों सदके तुम्हारे
देखेगी मुखड़ा अपना अब से जवानी दिल के दाग़ में
बरसेगा कैसे सावन कैसे पड़ेंगे झूले बाग़ में
बैन करेंगे ख़्वाब कुंवारे
दो दिल टूटे दो दिल हारे
मैं न रहूँगी लेकिन गूँजेंगे आहें मेरे गाँव में
अब न खिलेगी सरसों अब न लगेगी मेहंदी पाँव में
अब न उगेंगे चाँद सितारे
दो दिल टूटे दो दिल हारे
प्यार तुम्हारा देखा
देखा तुम्हारा आँखें मोड़ना
तोड़ के जाना दिल को खेल नहीं है दिल का तोड़ना
तड़पोगे तुम भी साथ हमारे
दो दिल टूटे दो दिल हारे
do dil ṭūṭe do dil hāre duniyāṇ vāloṅ sadke tumhāre
dekhegī mukhaṛā apnā ab se javānī dil ke dāġh meṅ
barsegā kaise sāvan kaise paṛeṅge jhūle bāġh meṅ
bain kareṅge khvāb kuṅvāre
do dil ṭūṭe do dil hāre
maiṅ na rahūṇgī lekin gūṇjeṅge āheṅ mere gāṇv meṅ
ab na khilegī sarsoṅ ab na lagegī mehaṅdī pāṇv meṅ
ab na ugeṅge chāṇd sitāre
do dil ṭūṭe do dil hāre
pyār tumhārā dekhā
dekhā tumhārā āṇkheṅ moṛnā
toṛ ke jānā dil ko khel nahīṅ hai dil kā toṛnā
taṛpoge tum bhī sāth hamāre
do dil ṭūṭe do dil hāre