दिन कुछ ऐसे ग़ुज़ारता है कोई
दिन कुछ ऐसे ग़ुज़ारता है कोई
जैसे एहसाँ उतारता है कोई
दिन कुछ ऐसे …
आईना देख कर तसल्ली हुई
हमको इस घर मे जानता है कोई
दिन कुछ ऐसे …
पक गया है शजर पे फल शायद
फिर से पत्थर उछालता है कोई
दिन कुछ ऐसे …
दूर से ग़ुज़रते हैं सन्नाटे
जैसे हमको पुकारता है कोई
दिन कुछ ऐसे …
din kuchh aise ġhuzārtā hai koī
jaise ehsāṇ utārtā hai koī
din kuchh aise …
āīnā dekh kar tasallī huī
hamko is ghar me jāntā hai koī
din kuchh aise …
pak gayā hai śhajar pe phal śhāyad
phir se patthar uchhāltā hai koī
din kuchh aise …
dūr se ġhuzarte haiṅ sannāṭe
jaise hamko pukārtā hai koī
din kuchh aise …